Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
zaraa un ki shokhi to dekhnaa liye zulf-e-kham-shuda haath mein
mere paas aae dabe dabe mujhe saanp kah ke Daraa diyaa
ذرا ان کی شوخی تو دیکھنا لیے زلف خم شدہ ہاتھ میں
میرے پاس آئے دبے دبے مجھے سانپ کہہ کے ڈرا دیا
ज़रा उन की शोख़ी तो देखना लिए ज़ुल्फ़-ए-ख़म-शुदा हाथ में
मेरे पास आए दबे दबे मुझे साँप कह के डरा दिया

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
sajda-gaah-e-barhaman aur shaikh hain dair-o-haram
mai-paraston ke liye buniyaad mai-khaane hue
saaqiyaa paiham pilaa de mujh ko maalaa-maal jaam
aayaa huun yaan main azaab-e-hoshyaari khinch kar
main ne anjaam se pahle na palaT kar dekhaa
duur tak saath mire manzil-e-aaghaaz gai
ai shaam-e-gham ki gahri khamoshi tujhe salaam
kaanon mein ek aai hai aavaaz duur ki