Shayari
mai-kashi mein rakhte hain ham mashrab-e-durd-e-sharaab
jaam-e-mai chaltaa jahaan dekhaa vahaan par jam gae
sajda-gaah-e-barhaman aur shaikh hain dair-o-haram
mai-paraston ke liye buniyaad mai-khaane hue
سجدہ گاہ برہمن اور شیخ ہیں دیر و حرم
مے پرستوں کے لیے بنیاد مے خانے ہوئے
सज्दा-गाह-ए-बरहमन और शैख़ हैं दैर-ओ-हरम
मय-परस्तों के लिए बुनियाद मय-ख़ाने हुए

mai-kashi mein rakhte hain ham mashrab-e-durd-e-sharaab
jaam-e-mai chaltaa jahaan dekhaa vahaan par jam gae
main 'hasrat' mujtahid huun but-parasti ki tariqat kaa
na puchho mujh ko kaisaa kufr hai islaam kyaa hogaa
ham na jaanein kis taraf kaaba hai aur kidhar hai dair
ek rahti hai yahi us dar pe jaane ki khabar
zaahidaa kis husn-e-gandum-e-gun pe hai teri nigaah
aaj tu meri nazar mein guna-e-aadam lagaa
saugand hai hasrat mujhe ejaaz-e-sukhan ki
ye sehr hain jaadu hain na ashaar hain tere
bhar ke nazar yaar na dekhaa kabhi
jab gayaa aankh hi bhar kar gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
kisi ki maut kaa dukh hai magar is se ziyaada
mujhe is baat kaa dukh hai ki koi ro rahaa hai
ye kah do bas maut se ho rukhsat kyuun naahaq aai hai us ki shaamat
ki dar talak vo masih-khaslat miri ayaadat ko aa chuke hain
vo koh-e-qaaf kaa jaise makin ho gayaa hai
bichhaD ke aur ziyaada hasin ho gayaa hai
khvaabon par ikhtiyaar na yaadon pe zor hai
kab zindagi guzaari hai apne hisaab mein
ghar se baahar nahin niklaa jaataa
raushni yaad dilaati hai tiri