Shayari
tum se mil kar der talak
achchhi lagti tanhaai
mujhe raas viraaniyaan aa gai hain
tiri yaad bhi ab sataati nahin hai
مجھے راس ویرانیاں آ گئی ہیں
تری یاد بھی اب ستاتی نہیں ہے
मुझे रास वीरानियाँ आ गई हैं
तिरी याद भी अब सताती नहीं है

tum se mil kar der talak
achchhi lagti tanhaai
hai jin ke baazuon mein dam vo dariyaa paar kar leinge
bahut mumkin hai Dubein vo jo baiThe hain safine mein
ghuTan taDpan udaasi ashk rusvaai akelaa-pan
baghair in ke adhuri ishq ki har ik kahaani hai
sochtaa huun ye soch kar main use
vo bhi aise hi sochtaa hai mujhe
ajab ye daur aayaa hai ki jis mein
ghalat kuchh bhi nahin sab kuchh sahi hai
Daal diin bhuke ko jis mein roTiyaan
vo samajh puujaa ki thaali ho gai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
is hi buniyaad par kyuun na mil jaaein ham
aap tanhaa bahut ham akele bahut
lipTaa ke shab-e-vasl vo us shokh kaa kahnaa
kuchh aur havas is se ziyaada to nahin hai
shab ki tanhaaiyon mein yaad us ki
jhilmilaataa huaa diyaa jaise
yaad kaa kyaa hai aa gai phir se
aankh kaa kyaa hai phir se ro li hai
nau-javaanon ko dekh kar 'haatim'
yaad ahd-e-shabaab aave hai