Shayari
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
N
Nizam RampurilipTaa ke shab-e-vasl vo us shokh kaa kahnaa
kuchh aur havas is se ziyaada to nahin hai
لپٹا کے شب وصل وہ اس شوخ کا کہنا
کچھ اور ہوس اس سے زیادہ تو نہیں ہے
लिपटा के शब-ए-वस्ल वो उस शोख़ का कहना
कुछ और हवस इस से ज़ियादा तो नहीं है
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhtaa huun main
saari sharaarat aap ki meri nazar mein hai
sach hai 'nizaam' yaad bhi us ko na honge ham
par kyaa karein vo ham se bhulaayaa na jaaegaa
teraa milnaa to hai mushkil magar itnaa to huaa
apnaa marnaa mujhe aasaan na huaa thaa so huaa
main na kahtaa thaa ki bahkaaenge tum ko dushman
tum ne kis vaaste aanaa mire ghar chhoD diyaa
uThtaa huun us ki bazm se jab ho ke naa-umid
phir phir ke dekhtaa huun koi ab pukaar le
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vaqt har zakhm ko bhar detaa hai kuchh bhi kiije
yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak
vatan ke log sataate the jab vatan mein the
vatan ki yaad sataati hai jab vatan mein nahin
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
apne bistar pe dam na toD dein ham
teri baaton ko yaad kar kar ke