Shayari
hai jin ke baazuon mein dam vo dariyaa paar kar leinge
bahut mumkin hai Dubein vo jo baiThe hain safine mein
tum se mil kar der talak
achchhi lagti tanhaai
تم سے مل کر دیر تلک
اچھی لگتی تنہائی
तुम से मिल कर देर तलक
अच्छी लगती तन्हाई

hai jin ke baazuon mein dam vo dariyaa paar kar leinge
bahut mumkin hai Dubein vo jo baiThe hain safine mein
mujhe raas viraaniyaan aa gai hain
tiri yaad bhi ab sataati nahin hai
ghuTan taDpan udaasi ashk rusvaai akelaa-pan
baghair in ke adhuri ishq ki har ik kahaani hai
sochtaa huun ye soch kar main use
vo bhi aise hi sochtaa hai mujhe
ajab ye daur aayaa hai ki jis mein
ghalat kuchh bhi nahin sab kuchh sahi hai
Daal diin bhuke ko jis mein roTiyaan
vo samajh puujaa ki thaali ho gai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
parind shaakh pe tanhaa udaas baiThaa hai
uDaan bhuul gayaa muddaton ki bandish mein
ab ke safar mein dard ke pahlu ajiib hain
jo log ham-khayaal na the ham-safar hue
ghar mein kyaa gham ke sivaa thaa jo bahaa le jaataa
meri viraani pe hanstaa rahaa dariyaa us kaa