Shayari
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
N
Nizam Rampuriraat thaa vasl aaj hijr kaa din
kuchh zamaane kaa e'tibaar nahin
رات تھا وصل آج ہجر کا دن
کچھ زمانے کا اعتبار نہیں
रात था वस्ल आज हिज्र का दिन
कुछ ज़माने का ए'तिबार नहीं
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhtaa huun main
saari sharaarat aap ki meri nazar mein hai
sach hai 'nizaam' yaad bhi us ko na honge ham
par kyaa karein vo ham se bhulaayaa na jaaegaa
teraa milnaa to hai mushkil magar itnaa to huaa
apnaa marnaa mujhe aasaan na huaa thaa so huaa
main na kahtaa thaa ki bahkaaenge tum ko dushman
tum ne kis vaaste aanaa mire ghar chhoD diyaa
uThtaa huun us ki bazm se jab ho ke naa-umid
phir phir ke dekhtaa huun koi ab pukaar le
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
tiri ru-numaai ki raat bhi main jahaan khaDaa thaa khaDaa rahaa
ki hujum-e-shahr ko chiir kar mujhe raasta nahin chaahiye
apni ghurbat ki kahaani ham sunaaein kis tarah
raat phir bachcha hamaaraa rote rote so gayaa
husn yuun ishq se naaraaz hai ab
phuul khushbu se khafaa ho jaise