Shayari
gham-e-aashiqi mein girah-kushaa na khirad hui na junun huaa
vo sitam sahe ki hamein rahaa na pae-khirad na sar-e-junun
pilaa saaqiyaa mai-e-jaan pilaa ki main laaun phir khabar-e-junun
ye khirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junun
پلا ساقیا مئے جاں پلا کہ میں لاؤں پھر خبر جنوں
یہ خرد کی رات چھٹے کہیں نظر آئے پھر سحر جنوں
पिला साक़िया मय-ए-जाँ पिला कि मैं लाऊँ फिर ख़बर-ए-जुनूँ
ये ख़िरद की रात छटे कहीं नज़र आए फिर सहर-ए-जुनूँ

shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
lambi taan ke so jaa aur
siski ko kharraaTaa kar
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
rahaa khvaab mein un se shab bhar visaal
mire bakht jaage main soyaa kiyaa