Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
lambi taan ke so jaa aur
siski ko kharraaTaa kar
لمبی تان کے سو جا اور
سسکی کو خراٹا کر
lambī taan ke so jā aur
siskī ko ḳharrāTā kar

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
vo ajnabi tiri baanhon mein jo rahaa shab bhar
kise khabar ki vo din bhar kahaan rahaa hogaa
mire ashkon pe hai shabnam kaa gumaan tum ko magar
aag lag jaae na daaman ko bachaae rakhnaa
ye teraa maal kisi roz Das hi legaa tujhe
agar tu is mein se khairaat kuchh nahin karegaa