Shayari
ye aankhein ye dimaagh ye zakhmon kaa ghar badan
sab mahv-e-khvaab hain dil-e-be-taab ke sivaa
O
Obaidullah Siddiquiye kis kaa chehra damaktaa hai meri aankhon mein
ye kis ki yaad mujhe kahkashaan se aati hai
یہ کس کا چہرہ دمکتا ہے میری آنکھوں میں
یہ کس کی یاد مجھے کہکشاں سے آتی ہے
ये किस का चेहरा दमकता है मेरी आँखों में
ये किस की याद मुझे कहकशाँ से आती है
ye aankhein ye dimaagh ye zakhmon kaa ghar badan
sab mahv-e-khvaab hain dil-e-be-taab ke sivaa
isi falak se utartaa hai ye andheraa bhi
ye raushni bhi isi aasmaan se aati hai
pahle chingaari se ik shola banaataa hai mujhe
phir vahi tez havaaon se Daraataa hai mujhe
shaam hoti hai to meraa hi fasaana aksar
vo jo TuuTaa huaa taaraa hai sunaataa hai mujhe
zindagi ik khvaab hai ye khvaab ki taabir hai
halqa-e-gesu-e-duniyaa paanv ki zanjir hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi