Shayari
muD ke tufaan ko baarhaa dekhaa
nazd-e-saahil jo mauj le aai
P
Prem Shankar Goila Farhatshaghl-e-mai fart-e-gham mein kyaa karte
is mein thi dukht-e-raz ki rusvaai
شغل مے فرط غم میں کیا کرتے
اس میں تھی دخت رز کی رسوائی
शग़्ल-ए-मय फ़र्त-ए-ग़म में क्या करते
इस में थी दुख़्त-ए-रज़ की रुस्वाई
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sadaa paan khaa khaa ke nikle hai baahar
zamaane mein khun-khvaar paidaa huaa hai
gham mein Duube hi rahe dam na hamaaraa niklaa
bahr-e-hasti kaa bahut duur kinaaraa niklaa