Shayari
raasta hai ki kaTtaa jaataa hai
faasla hai ki kam nahin hotaa
rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
رنگ محفل چاہتا ہے اک مکمل انقلاب
چند شمعوں کے بھڑکنے سے سحر ہوتی نہیں
रंग-ए-महफ़िल चाहता है इक मुकम्मल इंक़लाब
चंद शम्ओं के भड़कने से सहर होती नहीं

raasta hai ki kaTtaa jaataa hai
faasla hai ki kam nahin hotaa
ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jaate hain lekin aankh tar hoti nahin
ham badalte hain rukh havaaon kaa
aae duniyaa hamaare saath chale
tum na maano magar haqiqat hai
ishq insaan ki zarurat hai
kuchh der kisi zulf ke saae mein Thahar jaaein
'qaabil' gham-e-dauraan ki abhi dhuup kaDi hai
vaqt kartaa hai parvarish barson
haadisa ek dam nahin hotaa
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniyaa ko sameTeinge kisi din
jo nahin hai vaqt kaa ham-safar use subh-o-shaam ki kyaa khabar
ho kisi kaa vaqt pe kyaa asar bhalaa vaqt kis kaa ghulaam hai
yuun ehtimaam-e-radd-e-sahar kar diyaa gayaa
har raushni ko shahr-badar kar diyaa gayaa
har subh apne ghar mein usi vaqt jaagnaa
aazaad log bhi to giraftaar se rahe
milaa thaa hijr ke raste mein subh ki maanind
bichhaD gayaa thaa musaafir se raat hone tak
is tarah chashm-e-nim-vaa ghaafil bhi thi bedaar bhi
jaise nasha ho raat kaa yaa subh kaa taDkaa huaa