Shayari
rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
tum na maano magar haqiqat hai
ishq insaan ki zarurat hai
تم نہ مانو مگر حقیقت ہے
عشق انسان کی ضرورت ہے
तुम न मानो मगर हक़ीक़त है
इश्क़ इंसान की ज़रूरत है

rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
raasta hai ki kaTtaa jaataa hai
faasla hai ki kam nahin hotaa
ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jaate hain lekin aankh tar hoti nahin
ham badalte hain rukh havaaon kaa
aae duniyaa hamaare saath chale
kuchh der kisi zulf ke saae mein Thahar jaaein
'qaabil' gham-e-dauraan ki abhi dhuup kaDi hai
vaqt kartaa hai parvarish barson
haadisa ek dam nahin hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
banjaare hain rishton ki tijaarat nahin karte
ham log dikhaave ki mohabbat nahin karte
kisi ke ishq mein ye haal-e-zaar rahtaa hai
sukun paa ke bhi dil be-qaraar rahtaa hai
us maraz ko maraz-e-ishq kahaa karte hain
na davaa hoti hai jis ki na duaa hoti hai
dekh kar mujh ko tujhe kyuun hai tahayyur naaseh
mashrab-e-ishq hai ye mazhab-e-islaam nahin