Shayari
rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jaate hain lekin aankh tar hoti nahin
اب یہ عالم ہے کہ غم کی بھی خبر ہوتی نہیں
اشک بہہ جاتے ہیں لیکن آنکھ تر ہوتی نہیں
अब ये आलम है कि ग़म की भी ख़बर होती नहीं
अश्क बह जाते हैं लेकिन आँख तर होती नहीं

rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
raasta hai ki kaTtaa jaataa hai
faasla hai ki kam nahin hotaa
ham badalte hain rukh havaaon kaa
aae duniyaa hamaare saath chale
tum na maano magar haqiqat hai
ishq insaan ki zarurat hai
kuchh der kisi zulf ke saae mein Thahar jaaein
'qaabil' gham-e-dauraan ki abhi dhuup kaDi hai
vaqt kartaa hai parvarish barson
haadisa ek dam nahin hotaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hujum-e-ranj-o-gham ne is qadar mujh ko rulaayaa hai
ki ab raahat ki surat mujh se pahchaani nahin jaati
duniyaa to hai duniyaa ki vo dushman hai sadaa ki
sau baar tire ishq mein ham khud se laDe hain
tanhaai mili mujh ko zarurat se ziyaada
paDhti hain kitaabein mujhe vahshat se ziyaada