Shayari
ham haar to jaate hi ki dushman ke hamaare
sau pair the sau haath the ik sar hi nahin thaa
S
Suhail Ahmed Zaidihar subh apne ghar mein usi vaqt jaagnaa
aazaad log bhi to giraftaar se rahe
ہر صبح اپنے گھر میں اسی وقت جاگنا
آزاد لوگ بھی تو گرفتار سے رہے
हर सुब्ह अपने घर में उसी वक़्त जागना
आज़ाद लोग भी तो गिरफ़्तार से रहे
ham haar to jaate hi ki dushman ke hamaare
sau pair the sau haath the ik sar hi nahin thaa
ham ne to muund liin aankhein hi tiri diid ke baad
bul-havas jaante hain koi hasin kitnaa hai
dekho to har ik shakhs ke haathon mein hain patthar
puchho to kahin shahr banaane ke liye hai
do paanv hain jo haar ke ruk jaate hain
ik sar hai jo divaar se Takraataa hai
peD unchaa hai magar zer-e-zamin kitnaa hai
lab pe hai naam-e-khudaa dil mein yaqin kitnaa hai
kabhi to lagtaa hai gumraah kar gai mujh ko
sukhan-vari kabhi paighambari si lagti hai
qismat ki tirgi ki kahaani na puchhiye
subh-e-vatan bhi shaam-e-gharibaan hai aaj kal
jo hui subh to dekhe nae qadmon ke nishaan
aaj hi raat ko lauTe the safar se apne
shab ko mai khuub si pi subh ko tauba kar li
rind ke rind rahe haath se jannat na gai
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aaeinge sunte the sahar hogi
subh tak thaa vahin ye mukhlis bhi
aap rakhte the shab jahaan tashrif