Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq MerathijhagDaa thaa jo dil pe us ko chhoDaa
kuchh soch ke sulh kar gae ham
جھگڑا تھا جو دل پہ اس کو چھوڑا
کچھ سوچ کے صلح کر گئے ہم
झगड़ा था जो दिल पे उस को छोड़ा
कुछ सोच के सुल्ह कर गए हम
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
ham us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se
magar kuchh kuchh sahaaraa hai abhi be-dast-o-paai kaa
tu hai harjaai to apnaa bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
kufr aur islaam mein dekhaa to naazuk farq thaa
dair mein jo paak thaa kaabe mein vo naapaak thaa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
shaagird-e-rashid aap saa huun shaikh-ji saahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitaan mein chhoDaa
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
dil to saada hai teri har baat ko sachchaa maantaa hai
aql ne baatein karte teraa aankh churaanaa dekhaa hai