Shayari
main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
zindagi se tang aa kar khud-kushi kar li kisi ne
aur koi khud-kushi kartaa rahaa hai zindagi-bhar
زندگی سے تنگ آ کر خودکشی کر لی کسی نے
اور کوئی خودکشی کرتا رہا ہے زندگی بھر
ज़िंदगी से तंग आ कर ख़ुद-कुशी कर ली किसी ने
और कोई ख़ुद-कुशी करता रहा है ज़िंदगी-भर

main zaraa saa kyaa khulaa vo khud simaTne lag gayaa
jo kahaa kartaa thaa mujh se khul ke kyon milte nahin
ik tire kahne se meraa kam nahin kirdaar hogaa
ye alag hai baat main teri kahaani mein nahin huun
jis ne kiyaa hai qatl vahi chikh chikh kar
sab se ye kah rahaa hai ki qaatil pata karo
shahr ke pakke makaanon mein daraarein aa gaiin
gaanv ke kachche gharon ki niinv pakki thi bahut
vo ishaara kar ke pichhe haT gayaa thaa ek din
us ishaare ko samajhne mein lagaa huun aaj tak
aag se rishta hai meraa aur dariyaa bhi hai apnaa
aae din donon ke jhagDe mein ulajh kar rah gayaa huun
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
guzarti hai maze se vaaizon ki zindagi ab to
sahaaraa ho gayaa hai diin duniyaa-daar logon kaa
kar murattab kuchh nae andaaz se apnaa bayaan
marne vaale zindagi chaahe to afsaane mein aa
hans ke nahin to ro ke bhi umr guzar hi jaaegi
aaj se khair yuun sahi mujh ko khayaal thaa ki yuun