Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
namaaz-e-ishq tumhaari qubul ho jaati
agar sharaab se tum ai 'ratan' vazu karte
نماز عشق تمہاری قبول ہو جاتی
اگر شراب سے تم اے رتنؔ وضو کرتے
नमाज़-ए-इश्क़ तुम्हारी क़ुबूल हो जाती
अगर शराब से तुम ऐ 'रतन' वज़ू करते

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kisi ke honT par khili hansi ki main asiir huun
luTi hui mohabbaton ki dekh lo nazir huun
baad-e-tark-e-ulfat bhi yuun to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzri
tiri javaan umangon ko ho gayaa hai kyaa
Dari Dari si mohabbat mujhe pasand nahin
kahaan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhi to log taraste hain zindagi ke liye