Shayari
barson se khaDaa huun haath uThaae
taasir-e-duaa kaa muntazir huun
baad-e-tark-e-ulfat bhi yuun to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzri
بعد ترک الفت بھی یوں تو ہم جئے لیکن
وقت بے طرح بیتا عمر بے سبب گزری
बाद-ए-तर्क-ए-उल्फ़त भी यूँ तो हम जिए लेकिन
वक़्त बे-तरह बीता उम्र बे-सबब गुज़री

barson se khaDaa huun haath uThaae
taasir-e-duaa kaa muntazir huun
ghar se us kaa bhi nikalnaa ho gayaa aakhir muhaal
meri rusvaai se shohrat ku-ba-ku us ki bhi thi
vo jise saare zamaane ne kahaa meraa raqib
main ne us ko ham-safar jaanaa ki tu us ki bhi thi
na so sakaa huun na shab jaag kar gizaari hai
ajiib din hain sukun hai na be-qaraari hai
sunte hain chamaktaa hai vo chaand ab bhi sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh lein ham bhi
vo bhi shaayad ro paDe viraan kaaghaz dekh kar
main ne us ko aakhiri khat mein likhaa kuchh bhi nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai