Shayari
bikhar gayaa huun fazaaon mein bu-e-gul ki tarah
mire vajud mein vusat miri samaa na saki
taana dete ho mujhe jiine kaa
zindagi meri khataa ho jaise
طعنہ دیتے ہو مجھے جینے کا
زندگی میری خطا ہو جیسے
ता'ना देते हो मुझे जीने का
ज़िंदगी मेरी ख़ता हो जैसे

bikhar gayaa huun fazaaon mein bu-e-gul ki tarah
mire vajud mein vusat miri samaa na saki
bhanvar se laDo tund lahron se uljho
kahaan tak chaloge kinaare kinaare
ik baar jo TuuTe to kabhi juD nahin saktaa
aaina nahin dil magar aaina-numaa hai
paas-e-aadaab-e-vafaa thaa ki shikasta-paai
be-khudi mein bhi na ham had se guzarne paae
goyaa the to koi bhi nahin thaa
ab chup hain to shahr dekhtaa hai
qurbat tiri kis ko raas aai
aaine mein aks kaanptaa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi jis ne talkh ki meri
vo mujhe zindagi se pyaaraa hai
aankh se kis ne raushni maangi
khvaab ke naam zindagi maangi
hamein hadd-e-adab ne maar Daalaa
ki dushman umr mein ham se baDaa hai