Shayari
bikhar gayaa huun fazaaon mein bu-e-gul ki tarah
mire vajud mein vusat miri samaa na saki
goyaa the to koi bhi nahin thaa
ab chup hain to shahr dekhtaa hai
گویا تھے تو کوئی بھی نہیں تھا
اب چپ ہیں تو شہر دیکھتا ہے
गोया थे तो कोई भी नहीं था
अब चुप हैं तो शहर देखता है

bikhar gayaa huun fazaaon mein bu-e-gul ki tarah
mire vajud mein vusat miri samaa na saki
bhanvar se laDo tund lahron se uljho
kahaan tak chaloge kinaare kinaare
ik baar jo TuuTe to kabhi juD nahin saktaa
aaina nahin dil magar aaina-numaa hai
taana dete ho mujhe jiine kaa
zindagi meri khataa ho jaise
paas-e-aadaab-e-vafaa thaa ki shikasta-paai
be-khudi mein bhi na ham had se guzarne paae
qurbat tiri kis ko raas aai
aaine mein aks kaanptaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
main sun rahaa huun phone pe khaamoshiyaan tiri
main jaantaa huun aaj se kyaa kyaa tamaam hai
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hi vo khaamosh hai
un se kah do mujhe khaamosh hi rahne de 'vasim'
lab pe aaegi to har baat giraan guzregi
chheD kar jaise guzar jaati hai doshiza havaa
der se khaamosh hai gahraa samundar aur main
vahaan pahle hi aavaazein bahut thiin
so main ne chup karaayaa khaamushi ko