Shayari
chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'
aap ham se judaa nahin hote
aap par ikhtiyaar hai koi
آپ ہم سے جدا نہیں ہوتے
آپ پر اختیار ہے کوئی
आप हम से जुदा नहीं होते
आप पर इख़्तियार है कोई

chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'
ham na aae junun ke bas mein kabhi
ye garebaan khirad ne chaak kiyaa
be-karaan dasht-e-tasavvur mein bhaTakne ke nuqush
mauj-dar-mauj saraabon se ubharte honge
kyaa us se bichhaDte ki mile hi na the jis se
ik-tarfa mohabbat ke bhi hain zaaviye kyaa kyaa
apni zanjir-e-paa ko dekhtaa huun
us ki paazeb yaad aati hai
mahv hain hazrat-e-khayaal apne
haal-e-dil mein muraaqiba baandhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hamaari aankhon mein bas gayaa hai ajiib punjab aansuon kaa
idhar se raavi chalaa udhar se chanaab tayyaar ho rahaa hai
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi
zindagi kyaa hai aaj ise ai dost
soch lein aur udaas ho jaaein
ab yaad-e-raftagaan ki bhi himmat nahin rahi
yaaron ne kitni duur basaai hain bastiyaan
yaaraan-e-be-bisaat ki har baazi-e-hayaat
khele baghair haar gae maat ho gai