Shayari
ham jo kahte hain saraasar hai ghalat
sab bajaa aap jo farmaaiyegaa
R
Rind Lakhnavimaut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
موت آ جائے قید میں صیاد
آرزو ہو اگر رہائی کی
मौत आ जाए क़ैद में सय्याद
आरज़ू हो अगर रिहाई की
ham jo kahte hain saraasar hai ghalat
sab bajaa aap jo farmaaiyegaa
kaafir huun na phunkun jo tire kaabe mein ai shaikh
naaqus baghal mein hai musallaa na samajhnaa
mai pilaa aisi ki saaqi na rahe hosh mujhe
ek saaghar se do aalam hon faraamosh mujhe
mai-kash huun vo ki puchhtaa huun uTh ke hashr mein
kyuun ji sharaab ki hain dukaanein yahaan kahin
tabiat ko hogaa qalaq chand roz
Thaharte Thaharte Thahar jaaegi
agari kaa hai gumaan shak hai malaagiri kaa
rang laayaa hai dupaTTa tiraa mailaa ho kar
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kaun letaa thaa naam majnun kaa
jab ki ahd-e-junun hamaaraa thaa
baad mere jo kiyaa shaad kisi ko to kahaa
ham ko is vaqt vo naashaad bahut yaad aayaa
but-parasti mein bhi bhuli na mujhe yaad-e-khudaa
haath mein subha gale mein mire zunnaar rahaa
yahaan kotaahi-e-zauq-e-amal hai khud giraftaari
jahaan baazu simaTte hain vahin sayyaad hotaa hai