Shayari
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
R
Rind Lakhnavinaaz-e-bejaa uThaaiye kis se
ab na vo dil na vo dimaagh rahaa
ناز بے جا اٹھائیے کس سے
اب نہ وہ دل نہ وہ دماغ رہا
नाज़-ए-बेजा उठाइए किस से
अब न वो दिल न वो दिमाग़ रहा
maut aa jaae qaid mein sayyaad
aarzu ho agar rihaai ki
ham jo kahte hain saraasar hai ghalat
sab bajaa aap jo farmaaiyegaa
kaafir huun na phunkun jo tire kaabe mein ai shaikh
naaqus baghal mein hai musallaa na samajhnaa
mai pilaa aisi ki saaqi na rahe hosh mujhe
ek saaghar se do aalam hon faraamosh mujhe
mai-kash huun vo ki puchhtaa huun uTh ke hashr mein
kyuun ji sharaab ki hain dukaanein yahaan kahin
agari kaa hai gumaan shak hai malaagiri kaa
rang laayaa hai dupaTTa tiraa mailaa ho kar
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
khvaahishon ne Dubo diyaa dil ko
varna ye bahr-e-be-karaan hotaa
izhaar-e-haal kaa bhi zariya nahin rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aankhon mein nam nahin
uThaa hijaab to bas din-o-dil diye hi bani
janaab-e-shaikh ko daavaa thaa paarsaai kaa
tumhaare dil se kudurat miTaae to jaanein
khulaa hai shahr mein ik mahkama safaai kaa