Shayari
Daaltaa hai dhamaal dil goyaa
'ishq ke baa'd is ki baari hai
aarzu-e-visaal tere liye
dil nahin haaraa jaan haari hai
آرزوئے وصال تیرے لئے
دل نہیں ہارا جان ہاری ہے
आरज़ू-ए-विसाल तेरे लिए
दिल नहीं हारा जान हारी है

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
rang badlaa yaar ne vo pyaar ki baatein gaiin
vo mulaaqaatein gaiin vo chaandni raatein gaiin
ahl-e-zabaan to hain bahut koi nahin hai ahl-e-dil
kaun tiri tarah 'hafiz' dard ke giit gaa sake
haath rakh rakh ke vo siine pe kisi kaa kahnaa
dil se dard uThtaa hai pahle ki jigar se pahle