Shayari
aarzu-e-visaal tere liye
dil nahin haaraa jaan haari hai
chaahat ki bhalaa kaun sune raam-kahaani
is shahr ke sab log hain bahre use kahnaa
چاہت کی بھلا کون سنے رام کہانی
اس شہر کے سب لوگ ہیں بہرے اسے کہنا
चाहत की भला कौन सुने राम-कहानी
इस शहर के सब लोग हैं बहरे उसे कहना

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
phir vahi ham the vahi tum the mohabbat the vahi
sulh kar lete agar aankhein laDaane ke liye
yuun mohabbat se jo chaahe koi apnaa kar le
jo hamaaraa na ho us ke kahin ham hote hain