Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
کیوں سدا پہنے وہ تیرا ہی پسندیدہ لباس
کچھ تو موسم کے مطابق بھی سنورنا ہے اسے
क्यूँ सदा पहने वो तेरा ही पसंदीदा लिबास
कुछ तो मौसम के मुताबिक़ भी सँवरना है उसे

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
tum sitaaron ke bharose pe na baiThe rahnaa
apni tadbir se taqdir banaate jaao
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khuub jiine kaa mazaa paate hain ham
khun-e-dil piite hain gham khaate hain ham
dard-e-sar hai teri sab pand-o-nasihat naaseh
chhoD de mujh ko khudaa par na kar ab sar khaali
dard-e-sar mein hai kise sandal lagaane kaa dimaagh
us kaa ghisnaa aur lagaanaa dard-e-sar ye bhi to hai