Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vo to khushbu hai har ik samt bikharnaa hai use
dil ko kyuun zid hai ki aaghosh mein bharnaa hai use
وہ تو خوشبو ہے ہر اک سمت بکھرنا ہے اسے
دل کو کیوں ضد ہے کہ آغوش میں بھرنا ہے اسے
वो तो ख़ुश्बू है हर इक सम्त बिखरना है उसे
दिल को क्यूँ ज़िद है कि आग़ोश में भरना है उसे

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
apni surat dekhnaa ho apne dil mein dekhiye
dil saa duniyaa mein koi bhi aaina miltaa nahin
thaamungaa nahin ab ke munaajaat kaa daaman
dil tujh se uThaa aur tire dar se uThaa main
miri qindil-e-jaan jalti hai shab bhar
zaraa apni bhi to rudaad-e-shab likh
dam ke dam mein duniyaa badli bhiiD chhaTi kohraam uThaa
chalte chalte saans ruki aur khatm huaa afsaana bhi