Shayari
umr guzri hai magar khud se judaa kar na sake
bhulne vaale tiri yaad mein kyaa rakkhaa hai
saaqiyaa muhr-ba-lab kar ke sila kyaa paayaa
hashr kuchh aur khamoshi ne bapaa rakkhaa hai
ساقیا مہر بلب کر کے صلہ کیا پایا
حشر کچھ اور خموشی نے بپا رکھا ہے
साक़िया मुहर-ब-लब कर के सिला क्या पाया
हश्र कुछ और ख़मोशी ने बपा रक्खा है

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chup kahin aur liye phirti thi baatein kahin aur
din kahin aur guzarte the to raatein kahin aur
dafnaa diyaa thaa jin ko gunje hain har taraf ab
meri khamoshiyon ko aavaaz mil gai hai
tum hanso to din nikle chup raho to raatein hain
kis kaa gham kahaan kaa gham sab fuzul baatein hain
main chup rahaa ki vazaahat se baat baDh jaati
hazaar sheva-e-husn-e-bayaan ke hote hue
dilon ke mel se aage labon ke silsile saare
jo lab khaamosh hote hain to aankhein baat karti hain