Shayari
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
dafnaa diyaa thaa jin ko gunje hain har taraf ab
meri khamoshiyon ko aavaaz mil gai hai
دفنا دیا تھا جن کو گونجے ہیں ہر طرف اب
میری خموشیوں کو آواز مل گئی ہے
दफ़ना दिया था जिन को गूँजे हैं हर तरफ़ अब
मेरी ख़मोशियों को आवाज़ मिल गई है

barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
par katar paai jab na khvaabon ke
band hi kar diin khiDkiyaan main ne
manzil apni DhunD rahe ho
rasta duuje kaa chalte ho
chaahti thi ki log kam hi milein
so andheron mein hi qayaam kiyaa
meri saanson ne aaj dastak di
yaad aayaa ki haan main zinda huun
tujhi se guftugu har dam tiri hi justuju har dam
miri aasaaniyaan tujh se miri mushkil hai tu hi tu
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
balaa ki tamkanat se ab siyaahi bolti hai
hamaari chup se shah paa kar tabaahi bolti hai
ham aise log zaaea ho rahe hain
khudaa chup-chaap dekhe jaa rahaa hai
bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
kyaa yunhi khaamosh duniyaa se guzar jaaeinge ham
kyaa jo kahnaa hai vo sab kuchh an-kahaa rah jaaegaa
us ki khamoshiyon mein nihaan kitnaa shor thaa
mujh se sivaa vo dard kaa khugar lagaa mujhe