Shayari
saaqiyaa muhr-ba-lab kar ke sila kyaa paayaa
hashr kuchh aur khamoshi ne bapaa rakkhaa hai
umr guzri hai magar khud se judaa kar na sake
bhulne vaale tiri yaad mein kyaa rakkhaa hai
عمر گزری ہے مگر خود سے جدا کر نہ سکے
بھولنے والے تری یاد میں کیا رکھا ہے
उम्र गुज़री है मगर ख़ुद से जुदा कर न सके
भूलने वाले तिरी याद में क्या रक्खा है

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
miri hatheli pe honTon se aisi mohr lagaa
ki umr bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaaun
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hi jaae
varna ye umr bhar kaa safar raaegaan to hai
zindagi mein jo ik kami si hai
ye zaraa si kami bahut hai miyaan