Shayari
dard itnaa bhi nahin hai ki chhupaa bhi na sakun
bojh aisaa bhi nahin hai ki uThaa bhi na sakun
raaegaan ho rahi thi tanhaai
teri yaadon kaa kaarobaar kiyaa
رائیگاں ہو رہی تھی تنہائی
تیری یادوں کا کاروبار کیا
राएगाँ हो रही थी तंहाई
तेरी यादों का कारोबार किया

dard itnaa bhi nahin hai ki chhupaa bhi na sakun
bojh aisaa bhi nahin hai ki uThaa bhi na sakun
munjamid thaa lahu rag-o-pai mein
teri aamad hayaat le aai
aisi aag falak se barsegi ik din
khaak havaa paani patthar jal jaaeinge
samajh mein vaqt kaa aayaa karishma
nazar khud par jo Daali hai dinon baad
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud
is se pahle to kabhi is ke ye pairaae na the
jama kar ke dard saare tu ne paidaa dil kiyaa
kah tu ai dast-e-qazaa is se kyaa haasil kiyaa
sadiyon se main jiine ki sazaa kaaT rahaa huun
saanson ki salibon pe huun laTkaayaa huaa saa