Shayari
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
sone vaalon ko kyaa khabar ai hijr
kyaa huaa ek shab mein kyaa na huaa
سونے والوں کو کیا خبر اے ہجر
کیا ہوا ایک شب میں کیا نہ ہوا
सोने वालों को क्या ख़बर ऐ हिज्र
क्या हुआ एक शब में क्या न हुआ

hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
ai chaman vaalo chaman mein yuun guzaaraa chaahiye
baaghbaan bhi khush rahe raazi rahe sayyaad bhi
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se
bu-e-gul phulon mein rahti thi magar rah na saki
main to kaanTon mein rahaa aur pareshaan na huaa
balaa se ho paamaal saaraa zamaana
na aae tumhein paanv rakhnaa sambhal kar
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
ujaalaa apne gharaunde mein rah gayaa to raat
kahaan qayaam karegi kahaan se guzregi
havaa se kah do ki khushbu kaa haath chhoD bhi de
abhi charaagh ki lau ko tiri zarurat hai
sameTtaa rahaa khud ko main umr-bhar lekin
bikhertaa rahaa shabnam kaa silsila mujh ko