Shayari
mahsus huaa sun ke taqaarir-e-mughallaz
ab ahl-e-siyaasat mein bhi chirkin bahut hain
hai mubtalaa-e-ishq-e-butaan meraa doctor
jo mujh mein virus hai vahi chaara-gar mein hai
ہے مبتلائے عشق بتاں میرا ڈاکٹر
جو مجھ میں وائرس ہے وہی چارہ گر میں ہے
है मुब्तला-ए-इश्क़-ए-बुताँ मेरा डॉक्टर
जो मुझ में वायरस है वही चारा-गर में है

mahsus huaa sun ke taqaarir-e-mughallaz
ab ahl-e-siyaasat mein bhi chirkin bahut hain
bajaT ki kai sakhtiyaan aur bhi hain
''abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain''
avaamunnaas ko aise dabochaa hai giraani ne
ki jaise cat ke panje mein koi rat hotaa hai
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
aqd-e-saani kaa mazaa puchaa to bole shaikh-ji
aise lagtaa hai chikan chakkhaa hai tarkaari ke baad
kuchh mah-jabin libaas ke fashion ki dauD mein
paabandi-e-libaas se aage nikal gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sakht jaan-levaa hai saadgi mohabbat ki
zahr ki kasauTi par zindagi ko kasti hai
ye maajraa-e-mohabbat samajh mein aa na sakaa
vo haath aae to main haath unhein lagaa na sakaa
imaarat dair o masjid ki bani hai iinT o patthar se
dil-e-viraana ki kis chiiz se taamir hoti hai
ham ko mili hai ishq se ik aah-e-soz-naak
vo bhi usi ki garmi-e-baazaar ke liye