Shayari
mahsus huaa sun ke taqaarir-e-mughallaz
ab ahl-e-siyaasat mein bhi chirkin bahut hain
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
سرور جاں فزا دیتی ہے آغوش وطن سب کو
کہ جیسے بھی ہوں بچے ماں کو پیارے ایک جیسے ہیں
सुरूर-ए-जाँ-फ़ज़ा देती है आग़ोश-ए-वतन सब को
कि जैसे भी हों बच्चे माँ को प्यारे एक जैसे हैं

mahsus huaa sun ke taqaarir-e-mughallaz
ab ahl-e-siyaasat mein bhi chirkin bahut hain
bajaT ki kai sakhtiyaan aur bhi hain
''abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain''
avaamunnaas ko aise dabochaa hai giraani ne
ki jaise cat ke panje mein koi rat hotaa hai
aqd-e-saani kaa mazaa puchaa to bole shaikh-ji
aise lagtaa hai chikan chakkhaa hai tarkaari ke baad
iid par masrur hain donon miyaan biivi bahut
ik kharidaari se pahle ik kharidaari ke baad
kuchh mah-jabin libaas ke fashion ki dauD mein
paabandi-e-libaas se aage nikal gae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yuun mohabbat se na ham khaana-ba-doshon ko bulaa
itne saada hain ki ghar-baar uThaa laaeinge
nau-giraftaar-e-mohabbat huun vafaa mujh mein kahaan
kam se kam dil abhi sau baar to aane diije
milaa ke khaak mein sarmaaya-e-dil-e-'bekhud'
vo puchhte hain bataao ye maal kis kaa thaa
ab jis dil-e-khvaabida ki khulti nahin aankhein
raaton ko sirhaane mire bedaar yahi thaa