Shayari
khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
کنوئیں کی سمت بلا لے نہ کوئی خواب مجھے
میں اپنے باپ کا سب سے حسین بیٹا ہوں
कुएँ की सम्त बुला ले न कोई ख़्वाब मुझे
मैं अपने बाप का सब से हसीन बेटा हूँ

khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
dukh se do chaar saal chhoTaa huun
hijr se ek din baDaa huun
mohabbat aam saa ik vaaqia thaa
hamaare saath pesh aane se pahle
aa rahaa huun nasihatein le kar
us se kahnaa abhi javaan rahe
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagtaa hai koi mar gayaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
zalzala aayaa makaan girne lagaa
niind mein ik khvaab-daan girne lagaa
bajaa hai khvaab-navardi pa khvaab aaise hon
khule jo aankh to apnaa hi ghar khanDar na lage
tamiz-e-khvaab-o-haqiqat hai shart-e-bedaari
khayaal-e-azmat-e-maazi ko chhoD haal ko dekh
dasht jaisi ujaaD hain aankhein
in darichon se khvaab kyaa jhaankein