Shayari
khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
vo ek khvaab mein mere qarib aae agar
main saare shahar ki nindein kharid saktaa huun
وہ ایک خواب میں میرے قریب آئے اگر
میں سارے شہر کی نیندیں خرید سکتا ہوں
वो एक ख़्वाब में मेरे क़रीब आए अगर
मैं सारे शहर की नींदें ख़रीद सकता हूँ

khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
dukh se do chaar saal chhoTaa huun
hijr se ek din baDaa huun
mohabbat aam saa ik vaaqia thaa
hamaare saath pesh aane se pahle
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagtaa hai koi mar gayaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
ham aaj kuchh hasin saraabon mein kho gae
aankhein khulin to jaagte khvaabon mein kho gae
jab se TuuTaa hai to chubhtaa hai miri aankhon mein
khvaab thaa meraa kisi kaanch ke jaisaa shaayad
zindagi khvaab hai aur khvaab bhi aisaa ki jise
jaagti aankhon se sab ke liye dekhaa jaae
bujhti aankhon mein tire khvaab kaa bosa rakkhaa
raat phir ham ne andheron mein ujaalaa rakkhaa