Shayari
mujhe bhi haq hai miTaa duun nasib ki syaahi
main apne hisse ki khushiyaan kisi pe vaarun kyon
chalaa gayaa jo mujhe chhoD kar na jaane kahaan
main us ke naam pe ye zindagi guzaarun kyon
چلا گیا جو مجھے چھوڑ کر نہ جانے کہاں
میں اس کے نام پہ یہ زندگی گزاروں کیوں
चला गया जो मुझे छोड़ कर न जाने कहाँ
मैं उस के नाम पे ये ज़िंदगी गुज़ारूँ क्यों

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
chand lamhe ko tu khvaabon mein bhi aa kar jhaank le
zindagi tujh se mile kitne zamaane ho gae
khvaab aur tamannaa kaa kyaa hisaab rakhnaa hai
khvaahishein hain sadiyon ki umr to zaraa si hai
tamaam umr yahaan kis kaa intizaar huaa hai
tamaam umr miraa kaun intizaar karegaa