Shayari
adab itnaa ki qadmon mein paDe hain
anaa itni ki lanka khaak kar dein
kis ne ki hain ye botalein khaali
pi gayaa kaun apni tanhaai
کس نے کی ہیں یہ بوتلیں خالی
پی گیا کون اپنی تنہائی
किस ने की हैं ये बोतलें ख़ाली
पी गया कौन अपनी तन्हाई

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
is dard-e-judaai se kahin jaan nikal jaae
'aazurdaa' mire haq mein zaraa yuun bhi duaa kar