Shayari
ye baat munsifon mein abhi zer-e-ghaur hai
patthar ko main lagaa huun ki patthar lagaa mujhe
S
Shahid Ahsan Moradabadizindagi biit gai ginte hue taarikhein
khaa gai vaqt ki divaar calendar kitne
زندگی بیت گئی گنتے ہوئے تاریخیں
کھا گئی وقت کی دیوار کلنڈر کتنے
ज़िंदगी बीत गई गिनते हुए तारीख़ें
खा गई वक़्त की दीवार कैलेंडर कितने
ye baat munsifon mein abhi zer-e-ghaur hai
patthar ko main lagaa huun ki patthar lagaa mujhe
sone vaalon ko jagaanaa to hai aasaan magar
jaagne vaalon ko kis tarah jagaayaa jaae
teri zulfein tire aariz tiri aankhein tire lab
main zamindaar huun ye sab miri jaagirein hain
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
jis ko kahte hain arsa-e-hasti
tausan-e-umr ki hai ik sarpaT