Shayari
dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
log sar phoD kar bhi dekh chuke
gham ki divaar TuTti hi nahin
لوگ سر پھوڑ کر بھی دیکھ چکے
غم کی دیوار ٹوٹتی ہی نہیں
लोग सर फोड़ कर भी देख चुके
ग़म की दीवार टूटती ही नहीं

dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahin koi
kyuun vaqt ek moD pe Thahraa huaa saa hai
zabaan mili bhi to kis vaqt be-zabaanon ko
sunaane ke liye jab koi daastaan na rahi
safar kaa nashsha chaDhaa hai to kyuun utar jaae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae
har taraf apne ko bikhraa paaoge
aainon ko toD ke pachhtaaoge
bataaun kis tarah ahbaab ko aankhein jo aisi hain
ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchein sameTin hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gae zamaanon ki dard kajlaai bhuli bisri kitaab paDh kar
jo ho sake tum se aane vaale dinon ke rangin khvaab likhnaa
us ko dekho kabhi udaasi mein
kis balaa ki hasin lagti hai
kis tarah bhulaaein ham is shahr ke hangaame
har dard abhi baaqi hai har zakhm abhi taaza hai