Shayari
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
chehre pe jo likhaa hai vahi us ke dil mein hai
paDh li hain surkhiyaan to ye akhbaar pheink de
چہرے پہ جو لکھا ہے وہی اس کے دل میں ہے
پڑھ لی ہیں سرخیاں تو یہ اخبار پھینک دے
चेहरे पे जो लिखा है वही उस के दिल में है
पढ़ ली हैं सुर्ख़ियाँ तो ये अख़बार फेंक दे

shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aate nahin hain dida-giryaan ke saamne
baadal bhi karte hain miri barsaat kaa lihaaz
dil le ke muft kahte hain kuchh kaam kaa nahin
ulTi shikaayatein huiin ehsaan to gayaa
ye to nahin ki tum saa jahaan mein hasin nahin
is dil ko kyaa karun ye bahaltaa kahin nahin