Shayari
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
maalum jo hotaa hamein anjaam-e-mohabbat
lete na kabhi bhuul ke ham naam-e-mohabaat
معلوم جو ہوتا ہمیں انجام محبت
لیتے نہ کبھی بھول کے ہم نام محبت
मालूम जो होता हमें अंजाम-ए-मोहब्बत
लेते न कभी भूल के हम नाम-ए-मोहब्बत

'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
ek aansu ne Duboyaa mujh ko un ki bazm mein
buund bhar paani se saari aabru paani hui
behtar to hai yahi ki na duniyaa se dil lage
par kyaa karein jo kaam na be-dil-lagi chale
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naaz-o-nazaakat vaale
bosa jo rukh kaa dete nahin lab kaa dijiye
ye hai masal ki phuul nahin pankhuDi sahi
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
kaun jaae 'zauq' par dilli ki galiyaan chhoD kar
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kahaan itni khabar umr-e-mohabbat kis tarah guzri
tiraa hi dard thaa mujh ko jahaan tak yaad aataa hai
ishq abhi se tanhaa tanhaa
hijr ki bhi aai nahin naubat
tiraa 'firaaq' to us din tiraa firaaq huaa
jab un se pyaar kiyaa main ne jin se pyaar nahin
naa-khalaf bas-ki uThi ishq o junun ki aulaad
koi aabaad-kun-e-khaana-e-zanjir nahin