Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
aai eid va dil mein nahin kuchh havaa-e-eid
ai kaash mere paas tu aataa bajaae eid
آئی عید و دل میں نہیں کچھ ہوائے عید
اے کاش میرے پاس تو آتا بجائے عید
आई ईद व दिल में नहीं कुछ हवा-ए-ईद
ऐ काश मेरे पास तू आता बजाए ईद

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
miTTi ki gavaahi se baDi dil ki gavaahi
yuun ho to ye zanjir ye zindaan bhi miraa hai
zabaan se dil kaa fasaana adaa kiyaa na gayaa
ye tarjumaan to bani thi magar banaa na gayaa
is shahr mein to kuchh nahin rusvaai ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
dard-e-dil ki intihaa thi zabt TuuTaa aur phir
aansuon kaa rang meri shaairi mein aa gayaa