Shayari
yahaan pe kuchh bhi nahin hai baaqi tu aks apnaa talaash mat kar
miri nigaahon ke aaine ab ghubaar-e-furqat se aT gae hain
us ki bhi miri tarah thi ik apni kahaani
us ko bhi nibhaanaa paDaa kirdaar mujhe bhi
اس کی بھی مری طرح تھی اک اپنی کہانی
اس کو بھی نبھانا پڑا کردار مجھے بھی
उस की भी मिरी तरह थी इक अपनी कहानी
उस को भी निभाना पड़ा किरदार मुझे भी

yahaan pe kuchh bhi nahin hai baaqi tu aks apnaa talaash mat kar
miri nigaahon ke aaine ab ghubaar-e-furqat se aT gae hain
mujh ko ataa huaa hai ye kaisaa libaas-e-zist
baDhte hain jis ke chaak baraabar rafu ke saath
kyaa karun ai tishnagi teraa mudaavaa bas vo lab
jin labon ko chhu ke paani aag bantaa jaae hai
yaaro duaa karo ye koi haadsa na ho
pahle yuun intizaar mein lazzat kabhi na thi
kyaa kisi ummid par phir se dar-e-dil vaa karun
tujh se baDh kar khud bataa meraa shanaasaa kaun thaa
taaza vaarid huun miyaan aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamaane ko yahaan kaar-e-ziyaan DhunDtaa huun
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
us but-e-kaafir kaa zaahid ne bhi naam aisaa japaa
daana-e-tasbih har ik raam-daanaa ho gayaa
ku-e-jaanaan mein na ghairon ki rasaai ho jaae
apni jaagir ye yaa-rab na paraai ho jaae
ye gum hue hain khayaal-e-visaal-e-jaanaan mein
ki ghar mein phirte hain ham apni justuju karte
jaanib-e-kaaba tu kyuun le gayaa but-khaane se
mujh se divaane ko ai ishq na bahkaanaa thaa