Shayari
ye maajraa-e-mohabbat samajh mein aa na sakaa
vo haath aae to main haath unhein lagaa na sakaa
S
Shakir Kalkattvizaraa chashm-e-karam se dekh lo tum
sahaaraa DhunDhtaa huun zindagi kaa
ذرا چشم کرم سے دیکھ لو تم
سہارا ڈھونڈھتا ہوں زندگی کا
ज़रा चश्म-ए-करम से देख लो तुम
सहारा ढूँढता हूँ ज़िंदगी का
ye maajraa-e-mohabbat samajh mein aa na sakaa
vo haath aae to main haath unhein lagaa na sakaa
rone ke badle apni tabaahi pe hans diyaa
'shaakir' ne is tarah gila-e-aasmaan kiyaa
qasam hi nahin hai faqat is kaa sheva
taghaaful bhi hai ek andaaz us kaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein