Shayari
kuchh na hone kaa gumaan thaa phir bhi
kuchh to hone ko huaa thaa kyaa thaa
un se 'sharar' kuchh aise bichhDe
jivan kaa har sapnaa bikhraa
ان سے شررؔ کچھ ایسے بچھڑے
جیون کا ہر سپنا بکھرا
उन से 'शरर' कुछ ऐसे बिछड़े
जीवन का हर सपना बिखरा

kuchh na hone kaa gumaan thaa phir bhi
kuchh to hone ko huaa thaa kyaa thaa
us sitam pesha kaa eajaaz-e-sitam hi hogaa
dast-e-qaatil ko agar dast-e-masihaa likkhun
maslahat thi koi vo chup the agar
bolne vaale to khul kar bolte
mere hi khuun mein nahlaa ke 'sharar'
vo salibon pe sajaa degaa mujhe
kyaa thi vo dair-o-haram ki duniyaa
jo bhi duniyaa kaa khudaa thaa kyaa thaa
be-hisi vo hai ki is daur mein jiine kaa mazaa
na gunaahon mein rahaa aur na savaabon mein rahaa
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke
in se hi jivan bantaa hai so jivan ban jaaegaa
bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae
chand lamhe ko tu khvaabon mein bhi aa kar jhaank le
zindagi tujh se mile kitne zamaane ho gae
jitnaa ham se ho sakaa ham ne kiyaa
zindagi tu hi bataa mar jaaein kyaa
chalaa gayaa jo mujhe chhoD kar na jaane kahaan
main us ke naam pe ye zindagi guzaarun kyon