Shayari
nazar rakhte hain us ki har adaa par
ba-zaahir be-khabar hote hue bhi
jitnaa ham se ho sakaa ham ne kiyaa
zindagi tu hi bataa mar jaaein kyaa
جتنا ہم سے ہو سکا ہم نے کیا
زندگی تو ہی بتا مر جائیں کیا
जितना हम से हो सका हम ने किया
ज़िंदगी तू ही बता मर जाएँ क्या

nazar rakhte hain us ki har adaa par
ba-zaahir be-khabar hote hue bhi
hamaare 'ahd mein kyon jahl kaa hai rutba buland
shikast khaai hui aagahi savaal uThaa
ajiib khauf kaa aalam hai apne chaaron taraf
safar mein lagtaa hai ye aakhiri safar to nahin
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniyaa ko sameTeinge kisi din
ab aur kyaa kahun main mohabbat ke baab mein
main un ke saath huun jo mohabbat ke saath hain
kitnaa dushvaar lag rahaa thaa safar
dekho ham aa gae vahaan se yahaan
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
tujh ko ho mere lams ki khvaahish shadid-tar
tujh se tamaam 'umr miraa saamnaa na ho
jaise ho umr bhar kaa asaasa gharib kaa
kuchh is tarah se main ne sambhaale tumhaare khat
puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamaal'
to chuTkiyon mein ret uDaa kar use dikhaa