Shayari
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
gae bhi jaan se aur koi mutmain na huaa
ki phir difaaa na karne ki ham pe tohmat thi
گئے بھی جان سے اور کوئی مطمئن نہ ہوا
کہ پھر دفاع نہ کرنے کی ہم پہ تہمت تھی
गए भी जान से और कोई मुतमइन न हुआ
कि फिर दिफ़ाअ न करने की हम पे तोहमत थी

bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
vo basti naa-khudaaon ki thi lekin
mile kuchh Dubne vaale vahaan bhi
kis tarah aae hain is pahli mulaaqaat talak
aur mukammal hai judaa hone ki tayyaari bhi
jaise ye mez miTTi kaa haathi ye phuul
ek kone mein ham bhi hain rakkhe hue
manzilon par ham milein ye tai huaa
vaapsi mein saath pakkaa kar liyaa
rukaa mahfil mein itni der tak main
ujaalon kaa buDhaapaa dekh aayaa
divaar ke us paar jaane ki tamanna hai to phir
himmat juTaa kar tum kabhi divaar Dhaate kyon nahin
vo agar inkaar kar de baat us ki maan lo
“ishq karne ke liye itni to himmat chaahiye”
aate hain aane do ye tufaan kyaa le jaaeinge
main to jab Dartaa ki meraa hausla le jaaeinge
kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil
bigaaD kaam na mushkil samajh ke mushkil ko
ik lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan
ik rang us ke chehre pe bahkaane vaalaa hai
kashti bhi nahin badli dariyaa bhi nahin badlaa
aur Dubne vaalon kaa jazba bhi nahin badlaa