Shayari
aah zaalim ho chuki ik muntazir ki aankh band
ab tiraa aanaa na aanaa sab baraabar ho gayaa
S
Shauq Sandelvisitam ko ham karam samjhe jafaa ko ham vafaa samjhe
aur is par bhi na samjhe vo to us but ko khudaa samjhe
ستم کو ہم کرم سمجھے جفا کو ہم وفا سمجھے
اور اس پر بھی نہ سمجھے وہ تو اس بت کو خدا سمجھے
सितम को हम करम समझे जफ़ा को हम वफ़ा समझे
और इस पर भी न समझे वो तो उस बुत को ख़ुदा समझे
mere baa'd vafaa kaa dhokaa aur kisi se mat karnaa
gaali degi duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaaegaa
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
taazgi hai sukhan-e-kuhna mein ye baad-e-vafaat
log aksar mire jiine kaa gumaan rakhte hain
ye jafaaon ki sazaa hai ki tamaashaai hai tu
ye vafaaon ki sazaa hai ki pae-daar huun main
is qadar musalsal thiin shiddatein judaai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafaai ki
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab