Shayari
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar paae
likhne pe jab aae the to kyaa kyaa nahin likkhaa
abhi se falsafa-e-reg-zaar ki baatein
abhi to 'ishq ke maktab mein haaziri hui hai
ابھی سے فلسفۂ ریگ زار کی باتیں
ابھی تو عشق کے مکتب میں حاضری ہوئی ہے
अभी से फ़ल्सफ़ा-ए-रेग-ज़ार की बातें
अभी तो 'इश्क़ के मकतब में हाज़िरी हुई है

dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar paae
likhne pe jab aae the to kyaa kyaa nahin likkhaa
ye kyaa ki khayaalon se uDi jaati hai khushbu
main ne to abhi tak use sochaa bhi nahin hai
'arzi insaaf ki ham ne bhi lagaa rakkhi hai
dekhiye zill-e-ilaahi hamein kab puchhte hain
zamaana jin ki qayaadat mein gaamzan thaa vo log
bhaTak gae tiri aankhon ki rahnumaai mein
vo phuul hai to use jaan tak karo mahsus
vo chaand hai to andheraa baDhaa ke dekhaa jaae
aaj ki raat hai bahut bhaari
aaj ki raat bas guzar jaae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq mein ain hunar-mandi hai
sab jise be-hunari kahte hain
miri nadim mohabbat ki rifaton se na gir
buland baam-e-haram hi nahin kuchh aur bhi hai
chale ho dasht ko 'naazim' agar mile majnun
zaraa hamaari taraf se bhi pyaar kar lenaa
nuqsaan ho rahaa hai bahut kaarobaar mein
abbaa paDe hain jab se paDosan ke pyaar mein